Dil Ka Connection Miladein

(I don't know who wrote this poem but it is very funny. Thanks to Arbind on forwarding it to me)

Dil Ka Connection Miladein


Dil ka connection miladein,
Daddy Internet laga dein ,
Mujhe aaya mail dostoun ka,
Kab lagay Ga itna Bata dein

Homework pura hota nahi,
Raat ko mein sota nahi,
Jab mood ho parhai ka,
Homework koi hota nahi.

Net bhi hai kamaal cheez,
Bas aati ho agar chalani keys,
Waisay to bohot hai kaam is Kay,
Par chatting pe lagti nahi fees.

Aap kehte hain mein shor machaon Ga,
Try karo mein naraz na kar paon Ga,
Mein god promise karta Hun,
Net aap ke saunay ke baad lagaun Ga.

Saheli nahi meri,haan dost hi hotay hain,
Who saray ke saray school mein hi sotay hain,
Raat to guzarti hai net par typing kartay,
Subha bhi chat room mein hi hotay hain.

Ladkian bhi kamaal hoti hain,
Ghar pe apni misaal hoti hain ,
Saara kaam khatam karkay,
Das bajay saday naal hoti hain.

Ab to mujhe Internet lagadein,
Meri bhi mauj karadein ,
Mein bhi dhondta Hun cyber bahoo,
Aap bas nikah dot com karadein

No comments:

Post a Comment

Write your comment here!!

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...